Friday, 18 April 2014

PAKISTAN NATIONAL ANTHEM AND LINGUISTIC FACTS.

kuch arsa qabal meri nazro.n say twitter pay aik mua'tbar sahafi [journalist] ki yeh tweet guzri,"Urdu Pakistan ki qoumi zubaan hai magar hamaray qoumi taranay mai iska wahid lafz 'ka' moujood hai." pehl pehl tou mai is nuqtay ko unka hiss e mizaah [sense of humor] samjha. magar jab mousoof apnay mou'qaf par dattay hue dikha-yee diye tou meri aik aa-bru zara upper ki taraf charh gaye. dil mai yehi khayal bai-daar hua kam-bhakht ko kia parhi jo yeh bai-bood shosha chorh dia. woh bhi bina kisi 'lifafay' kay. ho sakta hai kisi nay mutthi garm kar bhi di ho 'Wallah-o-Aalam'. thorhi or tafteesh ki tou maaloom hua aik pura ka pura aawa is baat ki sadaqat ko mann o unn maanay betha hai kay Pakistan kay qoumi taranay mai Urdu ka wahid lafz 'ka' shaamil hai. baaqi sab khaarji alfaaz [Alien words] hain.

moa'ziz qa'reen aaee-yay pehlay aik nazar Pakistan kay qoumi taranay ki taraf daal letay hain:


Pakistan kay qoumi taranay ko aik dafa achi tarnha parhnay kay baad Insha Allah khan Insha ka Urdu kay mu'taliq banaya hua sunheri ussol [darya e lutafat mai lisaani usool] ki taraf mutawajjay hotay hain.

Nasikh kay Lucknow mai Insha nay yeh likha hai: "jo lafz Urdu mai mashoor hai or musta'amil hogaya, khuwah woh Arabi ho ya Faarsi, Turki ho ya Saryaani, Punjaabi ho ya Purbi, apnay asl ki rou say ghalat ho ya sahi, woh laf bher-haal Urdu hai. agar asal kay muwafiq musta'amil ho tou sahi or agar asl kay khilaaf ho tou bhi sahi. is ka ghalat o sahi hona Urdu kay istemaal par mun-hasir hai. is liye jo lafz Urdu kay mizaaj kay muwafiq nahi hai, khuwah asal kay lihaaz say durust kiun na ho or jo cheez Urdu kay mizaaj kay muwafiq hai woh sahi hai, khuwah asl kay lihaaz say ghalat kiun na ho."


@Syed Insha Allah Khan 'Insha' [1756–1817] an Urdu poet in the courts of Lucknow and Delhi in the late eighteenth and early nineteenth century. A multi-talented polyglot, He was the author of the first grammar of the Urdu language, Darya-e-latafat]

Pakistan ka qoumi tarana shayari kay aeit-baar say teen [3] band 'stanzas' par mushta-mil hai:

Stanza #1  [پہلا بند]

*Pak sar-zameen shaad baad [is misra'y mai hamaien kamaz-kam Urdu kay dou mashoor alfaaz pak 'pure' or sar-zameen 'land' mil jaatay hain]

*kishwar haseen shaad baad [is misra'y mai hamein Urdu ka mashoor alfaaz haseen mil jaata hai, kishwar is Persian originated word meaning ilaaqa 'region', Hamari aik boht ma'roof Urdu writer kishwar naheed sahiba ki wajah say yeh lafz taqree-ban jana pehchana [hurf-ul-aam] hai. phir Allama Iqbal ka aik shair kucch yun hai: shadat hai matloob o maqsood e momin // na maal e ghaneemat na kishwar kushayee

*Tu nishaan e azam e Aalishaan [is misra'y mai hamein Urdu kay chaar mashoor alfaaz Tu 'you', nishaan 'badge', azam 'motivation' or aali-shaan 'glorious' mil jaatay hain]

*A'arz e Pakistan [is misra'y mai hamein mulk ka naam or boht mashoor Arabic word A'arz [Earth] mil jata hai jo kay Urdu zubaan mai latitude = a'arz e bald kay murakab mai istemaal hota hai]

*Markaz e yaqeen shaad baad [is misra'y mai hamein Urdu kay dou mashoor alfaaz markaz 'center' or yaqeen 'faith' mil jaatay hain]

Stanza #2  [دوسرا بند]

*Pak sar-zameen ka nizaam [is misra'y mai hamein pak sar-zameen kay ilawa Urdu ka mashoor lafz nizaam 'system' mil jaata hai]

*Quwwat e akhuwat e awaam [is misra'y mai hamein Urdu kay teen alfaaz quwwat 'power', akhuwat 'brotherliness' or awaam 'public' mil jaatay hain]

*Qoum mulk saltanat [is misra'y mai hamien Urdu kay teen mazeed alfaaz qoum 'nation', mulk 'country' or saltanat 'territory' mil jaatay hain]

*Pa-eenda tabinda baad [is misra'y mai hamein Urdu kay dou alfaaz pa-eenda 'everlasting' or tabinda 'shining' mil jaatay hain]

*Shaad baad manzil e muraad [is misra'y mai hamein Urdu alfaaz manzil 'destiny' or muraad 'desired' mil jaatay hain]

Stanza #3 [تیسرا بند]

*Parcham e sitaroon hilal [is misra'y mai hamein Urdu kay teen alfaaz parcham 'flag', sitaroon 'stars' or hilaal 'moon' mil jaatay hain. 'Central Ruet-e-Hilal Committee' is quit famous so as the word Hilaal due to it]

*Rehbar e taraqi o kamaal [is misra'y mai hamein Urdu kay teen alfaaz rehbar 'guide', taraqi 'progress' or kamal 'excellence' mil jaatay hain]

*Tarjumaan e maazi shaan e haal [is misra'y mai hamein Urdu kay chaar mashoor alfaaz tarjumaan 'representative', maazi 'past', shaan 'splendor' or haal 'present' mil jaatay hain]

*Jaan e istaqbaal [is misra'y mai Urdu kay dou mashoor alfaaz jaan 'life' or istaqbaal 'greet']

*Saa-ye- khuda-ye zuljalaal [is misra'y mai lafz saaya 'shelter', khuda 'God' or zul jalaal 'Great and Mighty' mil jaatay hain. Single Urdu word jalaal is quite famous due to Mughal king jalaal-ud-din akbar or the authetic Urdu idiom 'jalaal mai aana']

some mathematical calculations for % Urdu vocabularies available in Pakistan National Anthem.

There are total 56 words in Pakistan National Anthem. About 53 words are quite popular in Urdu language. Rest are not out of the reach from Urdu but not that much hurf-ul-aam. A person with little extra knowledge about Urdu can understand them easily.

#Shaad Baad [discussion]

*Shaad is a proper Urdu word meaning khush o khurram, magan, masroor.
*Baad is Persian originated wishful kalma means Ho, Hojaye used in Urdu compound like zinda-baad. Some other Urdu words formed through this base are baada [or ziayada ho] mu-baada [aesa na ho (kay)]
*famous Urdu Fiqra: shaad raho abaad raho.

SOME FACTS ABOUT PAKISTAN NATIONAL ANTHEM:
*Total standard duration for playing national anthem is 1:20 one minute and twenty seconds.
*Music Composed by the Pakistani musician and composer, Ahmad G. Chagla in 1949. Twenty-one musical instruments and thirty-eight different tones are used to play the Qoumi Tarana.
*The lyrics written by the Pakistani Urdu-language poet, ابو الاثر حفیظ جالندھری in 1952. No verse in the three stanza lyrics is repeated.

The Audio link to Pakistan National Anthem played by famous Junoon Band:
https://soundcloud.com/p-287/pakistan-national-anthem-by
=> Pakistan National anthem melody is one of the most graceful tune among the world national anthems. The ultimate soulful notes give you goosebumps and make you feel more patriotic.


An abstract painting [Mother-land] 

 Article Research and Painting by: Zubair Siddiq 
http://about.me/xubiant